Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dam sau rakhte hain lafzon mein suKHanwar mujhse

Abdul Wahab Sukhan

dam sau rakhte hain lafzon mein suKHanwar mujhse

Abdul Wahab Sukhan

MORE BYAbdul Wahab Sukhan

    daam sau rakhte haiñ lafzoñ meñ suḳhanvar mujh se

    baat kījegā zarā soch samajh kar mujh se

    mujhe khaltī nahīñ tanhā.ī safar yuuñ bhī

    guftugū karte haiñ sab raah ke patthar mujh se

    vo jo haiñ lazzat-e-tafhīm-e-suḳhan se vāqif

    she'r sunte haiñ vahī log mukarrar mujh se

    mujh ko Dar thā ki kahīñ fāsle baḌh jaa.eñ magar

    vo qarīb aa gayā kuchh aur simaT kar mujh se

    vo jo bichhḌā hai suḳhan lauT ke kab aa.egā

    pūchhte rahte haiñ ye shaam ke manzar mujh se

    dam sau rakhte hain lafzon mein suKHanwar mujh se

    baat kijega zara soch samajh kar mujh se

    mujhe khalti nahin tanhai safar ki yun bhi

    guftugu karte hain sab rah ke patthar mujh se

    wo jo hain lazzat-e-tafhim-e-suKHan se waqif

    she'r sunte hain wahi log mukarrar mujh se

    mujh ko Dar tha ki kahin fasle baDh jaen magar

    wo qarib aa gaya kuchh aur simaT kar mujh se

    wo jo bichhDa hai suKHan lauT ke kab aaega

    puchhte rahte hain ye sham ke manzar mujh se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now