daman-e-dil ke rafu ka jab hunar bhi aaega
dāman-e-dil ke rafū kā jab hunar bhī aa.egā
ziist kī mushkil Dagar se tū guzar bhī aa.egā
ibn-e-ādam mat samajh āsān jannat kā safar
dekhnā raste meñ mamnū'a shajar bhī aa.egā
tū muqaddar ke likhe par dil se raazī hogā jab
tab tabassum tere hoñToñ par nazar bhī aa.egā
bhuul kar sab kuchh chale ho des se pardes ko
rafta-rafta yaad apnā pyārā ghar bhī aa.egā
apnoñ kī yādeñ liye niklegā har din āftāb
hijr ke saa.e liye shab meñ qamar bhī aa.egā
baiThe baiThe apne ghar ke bām-o-dar chuum aaoge
yaad āñgan meñ lagā būḌhā shajar bhī aa.egā
saath rah kar hī khuleñgī ḳhāmiyāñ aur ḳhūbiyāñ
jo rahā nazroñ se ojhal vo nazar bhī aa.egā
she'roñ meñ shāmil karo ḳhūn-e-jigar bhī kuchh 'sahāb'
tab kahīñ jā kar ġhazal meñ kuchh asar bhī aa.egā
daman-e-dil ke rafu ka jab hunar bhi aaega
zist ki mushkil Dagar se tu guzar bhi aaega
ibn-e-adam mat samajh aasan jannat ka safar
dekhna raste mein mamnu'a shajar bhi aaega
tu muqaddar ke likhe par dil se raazi hoga jab
tab tabassum tere honTon par nazar bhi aaega
bhul kar sab kuchh chale ho des se pardes ko
rafta-rafta yaad apna pyara ghar bhi aaega
apnon ki yaaden liye niklega har din aaftab
hijr ke sae liye shab mein qamar bhi aaega
baiThe baiThe apne ghar ke baam-o-dar chum aaoge
yaad aangan mein laga buDha shajar bhi aaega
sath rah kar hi khulengi KHamiyan aur KHubiyan
jo raha nazron se ojhal wo nazar bhi aaega
she'ron mein shamil karo KHun-e-jigar bhi kuchh 'sahab'
tab kahin ja kar ghazal mein kuchh asar bhi aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.