Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daman-e-gul mein wo thi ashk-fishani ki tarah

Dard Faiz Khan

daman-e-gul mein wo thi ashk-fishani ki tarah

Dard Faiz Khan

MORE BYDard Faiz Khan

    dāman-e-gul meñ vo thī ashk-fishānī tarah

    maiñ ne chāhā thā jise raat raanī tarah

    misl-e-ḳhvāhish jinheñ maiñ rakhtā huuñ afsos ki vo

    merī yādeñ bhī nahīñ rakhte nishānī tarah

    us ko samjhā.ūñ to kaise jo rahā dil meñ mire

    na alfāz sūrat na ma.ānī tarah

    fan da.avā vo kiyā karte haiñ hairat hai mujhe

    'ġhālib'-o-'zauq' ke jaise haiñ na 'fānī' tarah

    karbalā meñ jo madīne ke musāfir pahoñche

    ḳhuun phir un bahāyā gayā paanī tarah

    'faiz' ġhazloñ ko salīqe se sañvārā maiñ ne

    merā har sher hai dariyā ravānī tarah

    daman-e-gul mein wo thi ashk-fishani ki tarah

    main ne chaha tha jise raat ki rani ki tarah

    misl-e-KHwahish jinhen main rakhta hun afsos ki wo

    meri yaaden bhi nahin rakhte nishani ki tarah

    us ko samjhaun to kaise jo raha dil mein mere

    na hi alfaz ki surat na maani ki tarah

    fan ka dawa wo kiya karte hain hairat hai mujhe

    'ghaalib'-o-'zauq' ke jaise hain na 'fani' ki tarah

    karbala mein jo madine ke musafir pahonche

    KHun phir un ka bahaya gaya pani ki tarah

    'faiz' ghazlon ko saliqe se sanwara main ne

    mera har sher hai dariya ki rawani ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now