Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daman hai mera dasht ka daman dusra

Hasrat Azimabadi

daman hai mera dasht ka daman dusra

Hasrat Azimabadi

MORE BYHasrat Azimabadi

    dāman hai merā dasht dāmān dūsrā

    merī tarah na phāḌe garebān dūsrā

    yak-rañg huuñ maiñ us gul-e-ra.anā ke ishq meñ

    bulbul na huuñ ki DhūñDūñ gulsitān dūsrā

    thā ġham-e-firāq milā us meñ dard-e-rashk

    muflis ke ghar meñ aayā ye mehmān dūsrā

    terī hayā-e-chashm dekhā nahīñ raqīb

    yaañ ehtiyāj kyā hai nigahbān dūsrā

    uryāñ-tanoñ ke sar pe tirī ḳhāk-e-kū rahe

    dar-kārvāñ nahīñ sar-o-sāmān dūsrā

    kiije zamīr-e-ḳhāk ko aadam chhān agar

    us shakl ban aave na insān dūsrā

    jū-ul-baqar rakhe ye shaiḳh-e-shikam-parast

    ik ḳhvān khā kahe hai kahāñ ḳhvān dūsrā

    sair-e-ajab rakhe hai tirī jalva-gāh-e-nāz

    is lutf kahāñ hai ḳhyābān dūsrā

    naqd-e-dil us ko denā hai 'hasrat' savāb o farz

    us zulf na hogā pareshān dūsrā

    daman hai mera dasht ka daman dusra

    meri tarah na phaDe gareban dusra

    yak-rang hun main us gul-e-rana ke ishq mein

    bulbul na hun ki DhunDun gulsitan dusra

    tha hi gham-e-firaq mila us mein dard-e-rashk

    muflis ke ghar mein aaya ye mehman dusra

    teri haya-e-chashm sa dekha nahin raqib

    yan ehtiyaj kya hai nigahban dusra

    uryan-tanon ke sar pe teri KHak-e-ku rahe

    dar-karwan nahin sar-o-saman dusra

    kije zamir-e-KHak ko aadam ki chhan agar

    us shakl ka ban aawe na insan dusra

    ju-ul-baqar rakhe ye shaiKH-e-shikam-parast

    ek KHwan kha kahe hai kahan KHwan dusra

    sair-e-ajab rakhe hai teri jalwa-gah-e-naz

    is lutf ka kahan hai KHyaban dusra

    naqd-e-dil us ko dena hai 'hasrat' sawab o farz

    us zulf sa na hoga pareshan dusra

    Source:

    Deewan-e-Hasrat Azeemabadi (Pg. 251)

      • Edition: 1978
      • Publisher: Taraqqi Urdu Board, New Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now