dastan-e-gham-e-dil un ko sunai na gai

Jigar Moradabadi

dastan-e-gham-e-dil un ko sunai na gai

Jigar Moradabadi

MORE BYJigar Moradabadi

  dāstān-e-ġham-e-dil un ko sunā.ī na ga.ī

  baat bigḌī thī kuchh aisī ki banā.ī na ga.ī

  sab ko ham bhuul ga.e josh-e-junūñ meñ lekin

  ik tirī yaad thī aisī jo bhulā.ī na ga.ī

  ishq par kuchh na chalā dīda-e-tar qaabū

  us ne jo aag lagā vo bujhā.ī na ga.ī

  paḌ gayā husn-e-ruḳh-e-yār partav jis par

  ḳhaak meñ mil ke bhī is dil safā.ī na ga.ī

  kyā uThā.egī sabā ḳhaak mirī us dar se

  ye qayāmat to ḳhud un se bhī uThā.ī na ga.ī

  dastan-e-gham-e-dil un ko sunai na gai

  baat bigDi thi kuchh aisi ki banai na gai

  sab ko hum bhul gae josh-e-junun mein lekin

  ek teri yaad thi aisi jo bhulai na gai

  ishq par kuchh na chala dida-e-tar ka qabu

  us ne jo aag laga di wo bujhai na gai

  paD gaya husn-e-ruKH-e-yar ka partaw jis par

  KHak mein mil ke bhi is dil ki safai na gai

  kya uThaegi saba KHak meri us dar se

  ye qayamat to KHud un se bhi uThai na gai

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Jagjit Singh

  Jagjit Singh

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY