Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dastan ke ruKH-numa abwab chori ho gae

Khalid Iqbal Yasir

dastan ke ruKH-numa abwab chori ho gae

Khalid Iqbal Yasir

MORE BYKhalid Iqbal Yasir

    dāstāñ ke ruḳh-numā abvāb chorī ho ga.e

    luT ga.e auqāf sab e'rāb chorī ho ga.e

    be-ġharaz jaañ nazr karne rivāyat piT chukī

    'ishq ke darbār ke ādāb chorī ho ga.e

    the girah meñ kuchh natīje kuchh adhūre tajrabe

    illateñ ġhārat huiiñ asbāb chorī ho ga.e

    bhaap ban kar uḌ ga.e ho ga.e gum ret meñ

    band bāñdhe rah ga.e daryāb chorī ho ga.e

    karnī-bharnī ik taraf kaisā hisāb-o-ehtisāb

    saare inkār aur sab ījāb chorī ho ga.e

    ham-ināñ ke zehnī izmehlāl kyā pūchhnā

    mere apne āhanī ā'sāb chorī ho ga.e

    marhala ḳhud-āshnā.ī abhī aayā na thā

    naam 'yāsir' miT ga.e alqāb chorī ho ga.e

    dastan ke ruKH-numa abwab chori ho gae

    luT gae auqaf sab e'rab chori ho gae

    be-gharaz jaan nazr karne ki riwayat piT chuki

    'ishq ke darbar ke aadab chori ho gae

    the girah mein kuchh natije kuchh adhure tajrabe

    illaten ghaarat huin asbab chori ho gae

    bhap ban kar uD gae ya ho gae gum ret mein

    band bandhe rah gae daryab chori ho gae

    karni-bharni ek taraf kaisa hisab-o-ehtisab

    sare inkar aur sab ijab chori ho gae

    ham-inan ke zehni izmehlal ka kya puchhna

    mere apne aahani aa'sab chori ho gae

    marhala KHud-ashnai ka abhi aaya na tha

    nam 'yasir' miT gae alqab chori ho gae

    Source:

    Tasteer (Pg. 441)

      • Publisher: Book Corner, Pakistan
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now