aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dastanon mein wo jadu hai na tafsiron mein hai

Saleem Betab

dastanon mein wo jadu hai na tafsiron mein hai

Saleem Betab

MORE BYSaleem Betab

    dāstānoñ meñ vo jaadū hai na tafsīroñ meñ hai

    jo tirī āñkhoñ be-āvāz taqrīroñ meñ hai

    rā.egāñ haiñ kal ḳhushiyāñ kal ke ġham bhī be-asar

    ab bhalā rakkhā kyā maazī tasvīroñ meñ hai

    terī āñkhoñ meñ agar paḌhne himmat hai to paḌh

    karb mazmūñ mire māthe tahrīroñ meñ hai

    us ke ik ik añg meñ vo bārhā paa.ī ga.ī

    jo tanāsub kashish tarshe hue hīroñ meñ hai

    vo chubhan sheroñ meñ Dhal jaa.e to mahshar ho bapā

    jo abhī us shaḳhs guftār ke tīroñ meñ hai

    har-qadam par chīḳh uThtī hai hazāroñ ghanTiyāñ

    naġhmagī kaisī mire paañv zanjīroñ meñ hai

    aañkh khulte ajab dhaḌkā dil ko lag gayā

    vo kahāñ sapnoñ meñ thā jo un ta.abīroñ meñ hai

    mutma.in haiñ ham kisī sūrat na manzar se haiñ ḳhush

    nā-shakebā.ī nashtar apnī taqdīroñ meñ hai

    dhuup shiddat ne un ko kar diyā garche niDhāl

    phir bhī chalne lagan 'betāb' rahgīroñ meñ hai

    dastanon mein wo jadu hai na tafsiron mein hai

    jo teri aankhon ki be-awaz taqriron mein hai

    raegan hain kal ki KHushiyan kal ke gham bhi be-asar

    ab bhala rakkha hi kya mazi ki taswiron mein hai

    teri aankhon mein agar paDhne ki himmat hai to paDh

    karb ka mazmun mere mathe ki tahriron mein hai

    us ke ek ek ang mein wo barha pai gai

    jo tanasub ki kashish tarshe hue hiron mein hai

    wo chubhan sheron mein Dhal jae to mahshar ho bapa

    jo abhi us shaKHs ki guftar ke tiron mein hai

    har-qadam par chiKH uThti hai hazaron ghanTiyan

    naghmagi kaisi mere panw ki zanjiron mein hai

    aankh khulte hi ajab dhaDka sa dil ko lag gaya

    wo kahan sapnon mein tha jo un ki tabiron mein hai

    mutmain hain hum kisi surat na manzar se hain KHush

    na-shakebai ka nashtar apni taqdiron mein hai

    dhup ki shiddat ne un ko kar diya garche niDhaal

    phir bhi chalne ki lagan 'betab' rahgiron mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now