data ye koi mantiqi anjam nahin hai
daatā ye koī mantiqī anjām nahīñ hai
majbūr pe hañs denā koī kaam nahīñ hai
ḳhuddām ke hāthoñ meñ nahīñ jām-e-tamannā
afsos se kahtā huuñ ki ye shaam nahīñ hai
maiñ kaise mohabbat kī ye fehrist nikālūñ
sab naam haiñ maujūd tirā naam nahīñ hai
kis aas pe ham rind tirī nazr utāreñ
tū aaj pilāne ko sar-e-bām nahīñ hai
kyā yūñhī bhaTakte hue kaT jā.eñge din raat
kyā mere sitāroñ ko hī ārām nahīñ hai
data ye koi mantiqi anjam nahin hai
majbur pe hans dena koi kaam nahin hai
KHuddam ke hathon mein nahin jam-e-tamanna
afsos se kahta hun ki ye sham nahin hai
main kaise mohabbat ki ye fehrist nikalun
sab nam hain maujud tera nam nahin hai
kis aas pe hum rind teri nazr utaren
tu aaj pilane ko sar-e-baam nahin hai
kya yunhi bhaTakte hue kaT jaenge din raat
kya mere sitaron ko hi aaram nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.