dafn kar dijiye aaKHir ye tamasha kab tak
dafn kar dījiye āḳhir ye tamāsha kab tak
ek hī laash se khelegā zamāna kab tak
bandisheñ vus'at-e-dariyā pe lagāne vaalo
ruḳh na badlegā ye simTā huā dariyā kab tak
jo bhī miltā hai tirā dost hī miltā hai mujhe
maiñ tire shahr meñ phirtā rahūñ tanhā kab tak
qatl karne ke tarīqe vahī qātil bhī vahī
is tasalsul se na ghabrā.egī duniyā kab tak
mo'jiza koī bhī ho dard ke māroñ ke liye
aap kahlā.eñge is tarh masīhā kab tak
naqsh patthar pe banāo to koī baat bane
barf kī sil pe tarāshā huā chehra kab tak
koī taskīn-e-nazar kī bhī to sūrat nikle
sirf āvāz se bahlegī ye duniyā kab tak
ab to ahbāb ye kah kah ke guzar jaate haiñ
ek girtī huī dīvār kā saaya kab tak
vaqt kī parda-darī kā ye taqāzā hai 'mushīr'
ziist ke ruḳh pe rivāyāt kā pardā kab tak
dafn kar dijiye aaKHir ye tamasha kab tak
ek hi lash se khelega zamana kab tak
bandishen wus'at-e-dariya pe lagane walo
ruKH na badlega ye simTa hua dariya kab tak
jo bhi milta hai tera dost hi milta hai mujhe
main tere shahr mein phirta rahun tanha kab tak
qatl karne ke tariqe wahi qatil bhi wahi
is tasalsul se na ghabraegi duniya kab tak
mo'jiza koi bhi ho dard ke maron ke liye
aap kahlaenge is tarh masiha kab tak
naqsh patthar pe banao to koi baat bane
barf ki sil pe tarasha hua chehra kab tak
koi taskin-e-nazar ki bhi to surat nikle
sirf aawaz se bahlegi ye duniya kab tak
ab to ahbab ye kah kah ke guzar jate hain
ek girti hui diwar ka saya kab tak
waqt ki parda-dari ka ye taqaza hai 'mushir'
zist ke ruKH pe riwayat ka parda kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.