Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dam-ba-dam TuTti aawaz mein gaya hai mujhe

Razzaq Arshad

dam-ba-dam TuTti aawaz mein gaya hai mujhe

Razzaq Arshad

MORE BYRazzaq Arshad

    dam-ba-dam TūTtī āvāz meñ gaayā hai mujhe

    mutrib-e-vaqt ne be-sarfa gañvāyā hai mujhe

    lamha-lamha mirī tā'mīr huī hai lekin

    lamha-lamha kisī ehsās ne Dhāyā hai mujhe

    marg-e-ehsās mumkin ho to mātam kiije

    ab sulagtī huī ye dhuup bhī saayā hai mujhe

    kis tahrīr thā maiñ mujh ko gumāñ hotā hai

    huuñ maiñ vo harf ki dānista miTāyā hai mujhe

    be-ta’alluq hai mire shām-o-sahar se ab tak

    jaise khone ko us shaḳhs ne paayā hai mujhe

    ġham dīvār se lag kar maiñ khaḌā huuñ chup-chāp

    kis ne be-jān tasvīr banāyā hai mujhe

    ab ke mausam tabāhī se bachegā na koī

    sahmī sahmī havāoñ ne batāyā hai mujhe

    sho’la-zāroñ meñ mirī aañkh khulī hai aksar

    barf-zāroñ meñ kisī ne jo sulāyā hai mujhe

    maiñ koī phuul nahīñ dhuul huuñ sahrāoñ

    tum ne kyā jaan ke juuḌe meñ sajāyā hai mujhe

    ab maiñ tanhā.ī us manzil-e-ābād meñ huuñ

    hāsil-e-har-do-jahāñ ḳhud mirā saaya hai mujhe

    kaun thā jo mire ḳhvāboñ meñ ḳhalal Daal gayā

    kaun hai jis ne sar-e-shām jagāyā hai mujhe

    kal tasvīr se maiñ aaj bhī nā-vāqif huuñ

    aa.ine ne mirā maazī dikhāyā hai mujhe

    jab zamīñ mere liye tang huī hai 'arshad'

    āsmānoñ ne mohabbat se uThāyā hai mujhe

    dam-ba-dam TuTti aawaz mein gaya hai mujhe

    mutrib-e-waqt ne be-sarfa ganwaya hai mujhe

    lamha-lamha meri ta'mir hui hai lekin

    lamha-lamha kisi ehsas ne Dhaya hai mujhe

    marg-e-ehsas ka mumkin ho to matam kije

    ab sulagti hui ye dhup bhi saya hai mujhe

    kis ki tahrir tha main mujh ko guman hota hai

    hun main wo harf ki danista miTaya hai mujhe

    be-ta’alluq hai mere sham-o-sahar se ab tak

    jaise khone hi ko us shaKHs ne paya hai mujhe

    gham ki diwar se lag kar main khaDa hun chup-chap

    kis ne be-jaan si taswir banaya hai mujhe

    ab ke mausam ki tabahi se bachega na koi

    sahmi sahmi si hawaon ne bataya hai mujhe

    sho’la-zaron mein meri aankh khuli hai aksar

    barf-zaron mein kisi ne jo sulaya hai mujhe

    main koi phul nahin dhul hun sahraon ki

    tum ne kya jaan ke juDe mein sajaya hai mujhe

    ab main tanhai ki us manzil-e-abaad mein hun

    hasil-e-har-do-jahan KHud mera saya hai mujhe

    kaun tha jo mere KHwabon mein KHalal Dal gaya

    kaun hai jis ne sar-e-sham jagaya hai mujhe

    kal ki taswir se main aaj bhi na-waqif hun

    aaine ne mera mazi hi dikhaya hai mujhe

    jab zamin mere liye tang hui hai 'arshad'

    aasmanon ne mohabbat se uThaya hai mujhe

    Source:

    Tahreek,New Delhi (Pg. 84)

      • Publisher: Gopal Mittal
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now