Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

damak raha tha bahut yun to pairahan us ka

Rajinder Manchanda Bani

damak raha tha bahut yun to pairahan us ka

Rajinder Manchanda Bani

MORE BYRajinder Manchanda Bani

    damak rahā thā bahut yuuñ to pairahan us

    zarā se lams ne raushan kiyā badan us

    vo ḳhaak uḌāne pe aa.e to saare dasht us ke

    chale gudāz-qadam to chaman chaman us

    vo jhuuT sach se pare raat kuchh sunātā thā

    diloñ meñ raast utartā gayā suḳhan us

    ajiib āb-o-havā vo rahne vaalā hai

    milegā ḳhvāb o ḳhalā meñ kahīñ vatan us

    tirī taraf se na kyā kyā sitam hue us par

    maiñ jāntā huuñ bahut dost bhī na ban us

    vo roz shaam se sham.eñ dhuāñ dhuāñ us

    vo roz sub.h ujālā kiran kiran us

    mirī nazar meñ hai mahfūz aaj bhī 'bānī'

    badan kasā huā malbūs be-shikan us

    damak raha tha bahut yun to pairahan us ka

    zara se lams ne raushan kiya badan us ka

    wo KHak uDane pe aae to sare dasht us ke

    chale gudaz-qadam to chaman chaman us ka

    wo jhuT sach se pare raat kuchh sunata tha

    dilon mein rast utarta gaya suKHan us ka

    ajib aab-o-hawa ka wo rahne wala hai

    milega KHwab o KHala mein kahin watan us ka

    teri taraf se na kya kya sitam hue us par

    main jaanta hun bahut dost bhi na ban us ka

    wo roz sham se shamen dhuan dhuan us ki

    wo roz subh ujala kiran kiran us ka

    meri nazar mein hai mahfuz aaj bhi 'bani'

    badan kasa hua malbus be-shikan us ka

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 156)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now