dar-e-qafas tak jaane dena
dar-e-qafas tak jaane denā
itnī dauḌ lagāne denā
patlī gardan burī lagegī
golī se mar jaane denā
pichhlī bench kā bachcha hai dil
is ko haath uThāne denā
tum kho jaanā raqs meñ apne
merā sar chakrāne denā
pyaas bujhā kar vāpas aanā
sūraj ko dhamkāne denā
yaad kisī kī kaun sagī hai
martī ho mar jaane denā
dar-e-qafas tak jaane dena
itni dauD lagane dena
patli gardan buri lagegi
goli se mar jaane dena
pichhli bench ka bachcha hai dil
is ko hath uThane dena
tum kho jaana raqs mein apne
mera sar chakrane dena
pyas bujha kar wapas aana
suraj ko dhamkane dena
yaad kisi ki kaun sagi hai
marti ho mar jaane dena
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 45)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.