Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dar ke jine se to behtar mera mar jaana hai

Naved Anjum

Dar ke jine se to behtar mera mar jaana hai

Naved Anjum

MORE BYNaved Anjum

    Dar ke jiine se to behtar mirā mar jaanā hai

    kū-e-jānāñ se guzarte hue ghar jaanā hai

    mere haq meñ koī nīñdoñ duā.eñ kar de

    mujh ko ḳhushiyoñ ke liye ḳhvāb nagar jaanā hai

    kyoñ na āñkheñ mirī rone pe kamar-basta hoñ

    aaj us ne mire ashkoñ ko guhar jaanā hai

    is liye naaz hai dariyāoñ se nisbat rakh kar

    un anjām samundar meñ utar jaanā hai

    jis ko marnā hai mire bhiiḌ meñ rah kar 'anjum'

    ho jahāñ taaza havā tujh ko udhar jaanā hai

    Dar ke jine se to behtar mera mar jaana hai

    ku-e-jaanan se guzarte hue ghar jaana hai

    mere haq mein koi nindon ki duaen kar de

    mujh ko KHushiyon ke liye KHwab nagar jaana hai

    kyon na aankhen meri rone pe kamar-basta hon

    aaj us ne mere ashkon ko guhar jaana hai

    is liye naz hai dariyaon se nisbat rakh kar

    un ka anjam samundar mein utar jaana hai

    jis ko marna hai mere bhiD mein rah kar 'anjum'

    ho jahan taza hawa tujh ko udhar jaana hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now