aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dar nahin mujhko gunahon ki giran-bari ka

Maulana Mohammad Ali Jauhar

Dar nahin mujhko gunahon ki giran-bari ka

Maulana Mohammad Ali Jauhar

MORE BYMaulana Mohammad Ali Jauhar

    Dar nahīñ mujh ko gunāhoñ girāñ-bārī

    terī rahmat hai sabab merī subuksārī

    daar ne ik sag-e-duniyā ko ye baḳhshā hai uruuj

    hai farishtoñ meñ bhī charchā mirī dīñ-dārī

    dil o jaañ sauñp chuke ham tujhe ai jān-e-jahāñ

    ab hameñ ḳhauf kyā apnī giraftārī

    jaan bhī chiiz hai koī ki rakheñ tum se dareġh

    paas itnā bhī na ho rasm-e-vafādārī

    sāqiyā sab ko tirī ek nazar kaafī thī

    thā kise hosh tire ahd meñ hushyārī

    maiñ fidā aaj bhī ho jaa.e vahī ek nigāh

    ḳhātma ho kahīñ is daur ḳhuddārī

    āshiqoñ ke liye hai daar dāru-e-shifā

    ishq tib meñ davā naam hai bīmārī

    ajal istāda hai bālīñ pe marīz-e-ġham-e-ishq

    aañkh to khol zarā vaqt hai bedārī

    'jauhar' aur hājib o darbāñ ḳhushāmad kyā ḳhuub

    arsh o kursī pe guzar hai tire darbārī

    Dar nahin mujh ko gunahon ki giran-bari ka

    teri rahmat hai sabab meri subuksari ka

    dar ne ek sag-e-duniya ko ye baKHsha hai uruj

    hai farishton mein bhi charcha meri din-dari ka

    dil o jaan saunp chuke hum tujhe ai jaan-e-jahan

    ab hamein KHauf hi kya apni giraftari ka

    jaan bhi chiz hai koi ki rakhen tum se daregh

    pas itna bhi na ho rasm-e-wafadari ka

    saqiya sab ko teri ek nazar kafi thi

    tha kise hosh tere ahd mein hushyari ka

    main fida aaj bhi ho jae wahi ek nigah

    KHatma ho kahin is daur ki KHuddari ka

    aashiqon ke liye hai dar hi daru-e-shifa

    ishq ki tib mein dawa nam hai bimari ka

    ajal istada hai baalin pe mariz-e-gham-e-ishq

    aankh to khol zara waqt hai bedari ka

    'jauhar' aur hajib o darban ki KHushamad kya KHub

    arsh o kursi pe guzar hai tere darbari ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now