dar-o-diwar par sabza nahin hai
dar-o-dīvār par sabza nahīñ hai
vagarna aur ghar meñ kyā nahīñ hai
vafā vaale kahāñ ġhota lagā.eñ
ta'alluq koī bhī gahrā nahīñ hai
vo jis mausam meñ hotā thā numū maiñ
kisī bhī samt se lauTā nahīñ hai
'ajab gum-gashtagī meñ jī rahā huuñ
badan to hai magar chehra nahīñ hai
bahut hī kaam kī hai rā.egānī
kisī ne Thiik se bartā nahīñ hai
dar-o-diwar par sabza nahin hai
wagarna aur ghar mein kya nahin hai
wafa wale kahan ghota lagaen
ta'alluq koi bhi gahra nahin hai
wo jis mausam mein hota tha numu main
kisi bhi samt se lauTa nahin hai
'ajab gum-gashtagi mein ji raha hun
badan to hai magar chehra nahin hai
bahut hi kaam ki hai raegani
kisi ne Thik se barta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.