Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dar-parda kis dawa se jibillat badal gai

Rafeeq Anjum

dar-parda kis dawa se jibillat badal gai

Rafeeq Anjum

MORE BYRafeeq Anjum

    dar-parda kis davā se jibillat badal ga.ī

    bachche baḌe hue to zarūrat badal ga.ī

    bāzār meñ galī meñ qadam phūñk kar rakho

    ab har jagah sharh-e-sharāfat badal ga.ī

    gumnām the to bātoñ meñ un ḳhulūs thā

    shohrat milī to sūrat-e-hālat badal ga.ī

    patthar jo pheñkte ho hamāre makān par

    kyā shīshe tumhārī imārat badal ga.ī

    barsoñ ke tajribe ḳhulāsa yahī to hai

    añgḌā.ī zarā to hukūmat badal ga.ī

    qātil pahuñchte kaifar-e-kirdār tak magar

    saare gavāhoñ shahādat badal ga.ī

    pahle to ḳhush-mizāj the 'anjum' batā.iye

    uftād kyā paḌī ki vo aadat badal ga.ī

    dar-parda kis dawa se jibillat badal gai

    bachche baDe hue to zarurat badal gai

    bazar mein gali mein qadam phunk kar rakho

    ab har jagah ki sharh-e-sharafat badal gai

    gumnam the to baaton mein un ki KHulus tha

    shohrat mili to surat-e-haalat badal gai

    patthar jo phenkte ho hamare makan par

    kya shishe ki tumhaari imarat badal gai

    barson ke tajribe ka KHulasa yahi to hai

    angDai li zara to hukumat badal gai

    qatil pahunchte kaifar-e-kirdar tak magar

    sare gawahon ki hi shahadat badal gai

    pahle to KHush-mizaj the 'anjum' bataiye

    uftad kya paDi ki wo aadat badal gai

    Source:

    Sahil Bolta Hai (Pg. 78)

    • Author: Rafeeq Anjum
      • Publisher: Rafeeq Anjum
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now