Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dar ye nahin ki hijr mein jina muhaal hai

Qazi Ghulam Mohammad

Dar ye nahin ki hijr mein jina muhaal hai

Qazi Ghulam Mohammad

MORE BYQazi Ghulam Mohammad

    Dar ye nahīñ ki hijr meñ jiinā muhāl hai

    Dar hai ki ḳhāksār kasīr-ul-'ayāl hai

    chhe saat ser khā ke bhī kahtā hai maulvī

    aalam tamām halqa-e-dām-e-ḳhayāl hai

    ab vo shab-e-firāq nīñdeñ kahāñ nasīb

    ai dil shab-e-visāl meñ sonā muhāl hai

    kuttoñ ik hujūm jilau meñ hai raat din

    patlā dayār-e-husn meñ āshiq haal hai

    dafnā ke rahā hai mujhe vo sitam-zarīf

    āñkhoñ meñ jū-e-ḳhūñ hai baġhal meñ kudāl hai

    samjhā ke mujh ko ishq ḳhalal hai dimāġh

    nāseh ne un se shādī merā ḳhayāl hai

    kah do ye apnī maañ se kare fan ehtirām

    khāñsī ye kyā hai jis meñ ki sur hai na taal hai

    ye ahd-e-barshgāl kirā.e ye makāñ

    ya.anī har ek kamre meñ chhoTā taal hai

    khelā kiye ye taash maiñ royā kiyā lahū

    chāragaroñ ke faiz se jiinā muhāl hai

    Dar ye nahin ki hijr mein jina muhaal hai

    Dar hai ki KHaksar kasir-ul-'ayal hai

    chhe sat ser kha ke bhi kahta hai maulwi

    aalam tamam halqa-e-dam-e-KHayal hai

    ab wo shab-e-firaq ki ninden kahan nasib

    ai dil shab-e-visal mein sona muhaal hai

    kutton ka ek hujum jilau mein hai raat din

    patla dayar-e-husn mein aashiq ka haal hai

    dafna ke ja raha hai mujhe wo sitam-zarif

    aankhon mein ju-e-KHun hai baghal mein kudal hai

    samjha ke mujh ko ishq KHalal hai dimagh ka

    naseh ne un se shadi ki mera KHayal hai

    kah do ye apni man se kare fan ka ehtiram

    khansi ye kya hai jis mein ki sur hai na tal hai

    ye ahd-e-barshgal kirae ka ye makan

    yani har ek kamre mein chhoTa sa tal hai

    khela kiye ye tash main roya kiya lahu

    chaaragaron ke faiz se jina muhaal hai

    Source:

    Harf-e-Shirin (Pg. 24)

    • Author: Qazi Ghulam Mohammad
      • Publisher: Idara-e-Adabiyat-e-Urdu, Hyderabad
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now