Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

darbar mein ab satwat-e-shahi ki alamat

Faiz Ahmad Faiz

darbar mein ab satwat-e-shahi ki alamat

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    darbār meñ ab satvat-e-shāhī alāmat

    darbāñ asā hai ki musannif qalam hai

    āvāra hai phir koh-e-nidā par jo bashārat

    tamhīd-e-masarrat hai ki tūl-e-shab-e-ġham hai

    jis dhajjī ko galiyoñ meñ liye phirte haiñ tiflāñ

    ye merā garebāñ hai ki lashkar alam hai

    jis nuur se hai shahr dīvār daraḳhshāñ

    ye ḳhūn-e-shahīdāñ hai ki zar-ḳhāna-e-jam hai

    halqa kiye baiThe raho ik sham.a ko yaaro

    kuchh raushnī baaqī to hai har-chand ki kam hai

    darbar mein ab satwat-e-shahi ki alamat

    darban ka asa hai ki musannif ka qalam hai

    aawara hai phir koh-e-nida par jo bashaarat

    tamhid-e-masarrat hai ki tul-e-shab-e-gham hai

    jis dhajji ko galiyon mein liye phirte hain tiflan

    ye mera gareban hai ki lashkar ka alam hai

    jis nur se hai shahr ki diwar daraKHshan

    ye KHun-e-shahidan hai ki zar-KHana-e-jam hai

    halqa kiye baiThe raho ek shama ko yaro

    kuchh raushni baqi to hai har-chand ki kam hai

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 705)

      • Edition: 2009
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now