Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard bhi ho ziyaada to kam-kam lage

Farooq Zaman

dard bhi ho ziyaada to kam-kam lage

Farooq Zaman

MORE BYFarooq Zaman

    dard bhī ho ziyāda to kam-kam lage

    namak bhī lagā.e to marham lage

    kitnī pyārī mohabbat sargam lage

    nannhī biTiyā ke paa.el chham-chham lage

    jab bhī piitā huuñ mujh ko ḳhudā qasam

    maañ ke hāthoñ paanī bhī zamzam lage

    jab talak tum mire saath chalte rahe

    mujh ko rāhoñ ke kāñTe bhī resham lage

    tum agar saath hoñ to ḳhizāñ bhī mujhe

    ḳhūbsūrat bahāroñ ka mausam lage

    ai zaman kahkashāñ phuul taare qamar

    un ke aage mujhe saare maddham lage

    dard bhi ho ziyaada to kam-kam lage

    tu namak bhi lagae to marham lage

    kitni pyari mohabbat ki sargam lage

    nannhi biTiya ke pael ki chham-chham lage

    jab bhi pita hun mujh ko KHuda ki qasam

    man ke hathon ka pani bhi zamzam lage

    jab talak tum mere sath chalte rahe

    mujh ko rahon ke kanTe bhi resham lage

    tum agar sath hon to KHizan bhi mujhe

    KHubsurat bahaaron ka mausam lage

    ai zaman kahkashan phul tare qamar

    un ke aage mujhe sare maddham lage

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 380)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now