dard-e-dil zaKHm-e-jigar ka raazdan koi nahin
dard-e-dil zaḳhm-e-jigar kā rāzdāñ koī nahīñ
vāqif-e-asrār-e-ġham āzār-e-jāñ koī nahīñ
paas jis ke kuchh nahīñ māl-o-matā-e-be-bahā
us ko kyā ġham ki muhāfiz pāsbāñ koī nahīñ
kyā sulūk ham-sā.e kā batlā.e ik ḳhāna-ba-dosh
be-dar-o-dīvār sā jis kā makāñ koī nahīñ
daad ke laa.iq amīr-e-shahr hī kī zaat hai
kyūñki ab fōtpath par bhī be-amāñ koī nahīñ
ḳhāna-e-dil tak mire koī gayā to hai zarūr
naqsh pā kā chhoḌā hai lekin nishāñ koī nahīñ
roz kuchh aise guzarte is jahāñ se haiñ zarūr
haa.e jis kā rone vaalā nauha-ḳhvāñ koī nahīñ
aabrū allāh ne 'ḳhushtar' jabīñ kī rakkhī hai
jis kā is dar ke sivā hai āstāñ koī nahīñ
dard-e-dil zaKHm-e-jigar ka raazdan koi nahin
waqif-e-asrar-e-gham aazar-e-jaan koi nahin
pas jis ke kuchh nahin mal-o-mata-e-be-baha
us ko kya gham ki muhafiz pasban koi nahin
kya suluk ham-sae ka batlae ek KHana-ba-dosh
be-dar-o-diwar sa jis ka makan koi nahin
dad ke laiq amir-e-shahr hi ki zat hai
kyunki ab footpath par bhi be-aman koi nahin
KHana-e-dil tak mere koi gaya to hai zarur
naqsh pa ka chhoDa hai lekin nishan koi nahin
roz kuchh aise guzarte is jahan se hain zarur
hae jis ka rone wala nauha-KHwan koi nahin
aabru allah ne 'KHushtar' jabin ki rakkhi hai
jis ka is dar ke siwa hai aastan koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.