Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard-e-furqat se qarabat si hui jati hai

Bismil Dehlavi

dard-e-furqat se qarabat si hui jati hai

Bismil Dehlavi

MORE BYBismil Dehlavi

    dard-e-furqat se qarābat huī jaatī hai

    haa.e ye bhī mirī aadat huī jaatī hai

    uf dam-e-naz.a bhar aa.ī haiñ ye kis āñkheñ

    mujh ko jiine zarūrat huī jaatī hai

    rashk ye ḳhirad-āshobiyāñ allāh allāh

    apne saaya se bhī vahshat huī jaatī hai

    husn āmāda-e-takmīl-e-jafā hai ai dost

    phir mujhe apnī zarūrat huī jaatī hai

    jaur-e-paiham meñ zarā jiddateñ paidā kiije

    lazzat-e-ġham mirī aadat huī jaatī hai

    bā.is-e-sahv do-ālam thī kabhī bāda-kashī

    aur ye ab to ibādat huī jaatī hai

    jab se samjhā huuñ maiñ taḳhlīq maqsad 'bismil'

    zarre zarre se mohabbat huī jaatī hai

    dard-e-furqat se qarabat si hui jati hai

    hae ye bhi meri aadat si hui jati hai

    uf dam-e-naza bhar aai hain ye kis ki aankhen

    mujh ko jine ki zarurat si hui jati hai

    rashk ki ye KHirad-ashobiyan allah allah

    apne saya se bhi wahshat si hui jati hai

    husn aamada-e-takmil-e-jafa hai ai dost

    phir mujhe apni zarurat si hui jati hai

    jaur-e-paiham mein zara jiddaten paida kije

    lazzat-e-gham meri aadat si hui jati hai

    bais-e-sahw do-alam thi kabhi baada-kashi

    aur ye ab to ibaadat si hui jati hai

    jab se samjha hun main taKHliq ka maqsad 'bismil'

    zarre zarre se mohabbat si hui jati hai

    Source:

    Fikr-e-Buland (Pg. 45)

    • Author: Bismil Dehlavi
      • Publisher: Khush Naweesh Natthu Ram, Lahore
      • Year of Publication: 1945
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now