dard-e-jigar kisi ko bataya na jaega
dard-e-jigar kisī ko batāyā na jā.egā
ye daaġh chārāgar ko dikhāyā na jā.egā
ehsān kar ke aap to fāriġh hue janāb
ye bār-e-lutf ham se uThāyā na jā.egā
dil ko to rok leñge nigāhoñ kā kyā kareñ
ham se to rāz-e-'ishq chhupāyā na jā.egā
rakh paañv rāh-e-shauq pe sau baar soch kar
is rahguzar se lauT ke aaya na jā.egā
toḌā jinhoñ ne dil mirā apne hī log the
ye hādisa kisī ko batāyā na jā.egā
yādoñ ko apnī dil meñ mire rahne dījiye
ghar ye ujaḌ gayā to basāyā na jā.egā
nukta-rasoñ kī bhiiḌ hai Dartā huuñ ai 'sadā'
mahfil meñ aisī she'r sunāyā na jā.egā
dard-e-jigar kisi ko bataya na jaega
ye dagh chaaragar ko dikhaya na jaega
ehsan kar ke aap to farigh hue janab
ye bar-e-lutf hum se uThaya na jaega
dil ko to rok lenge nigahon ka kya karen
hum se to raaz-e-'ishq chhupaya na jaega
rakh panw rah-e-shauq pe sau bar soch kar
is rahguzar se lauT ke aaya na jaega
toDa jinhon ne dil mera apne hi log the
ye hadisa kisi ko bataya na jaega
yaadon ko apni dil mein mere rahne dijiye
ghar ye ujaD gaya to basaya na jaega
nukta-rason ki bhiD hai Darta hun ai 'sada'
mahfil mein aisi she'r sunaya na jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.