Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard hi zist ka unwan hua jata hai

Maulwi Syed Mumtaz Ali

dard hi zist ka unwan hua jata hai

Maulwi Syed Mumtaz Ali

MORE BYMaulwi Syed Mumtaz Ali

    dard ziist unvān huā jaatā hai

    kaun paivast-e-rag-e-jān huā jaatā hai

    dil uchhaltā hai ḳhushī se ki vahī shoḳh hasīñ

    merī tanhā.ī mehmān huā jaatā hai

    ik irāda hai ki āġhosh-dar-āġhosh huā

    ek lamha hai ki rūmān huā jaatā hai

    ek mastī hai ki āñkhoñ meñ bharī rahtī hai

    ik tabassum ki ḳhumistān huā jaatā hai

    sharm ke bojh se palkoñ kabhī jhuk jaanā

    maut apnī ye sāmān huā jaatā hai

    haa.e kyā mahshar-e-ḳhāmosh jagāyā ne

    dil ke āshob pe ehsān huā jaatā hai

    jitnā dukh thā mire siine meñ simaT aaya hai

    ik nirālā ye mehmān huā jaatā hai

    maiñ shahīd-e-rah-e-ulfat huuñ azal se 'sarmad'

    yahī maslak mirā īmān huā jaatā hai

    dard hi zist ka unwan hua jata hai

    kaun paiwast-e-rag-e-jaan hua jata hai

    dil uchhalta hai KHushi se ki wahi shoKH hasin

    meri tanhai ka mehman hua jata hai

    ek irada hai ki aaghosh-dar-aghosh hua

    ek lamha hai ki ruman hua jata hai

    ek masti hai ki aankhon mein bhari rahti hai

    ek tabassum ki KHumistan hua jata hai

    sharm ke bojh se palkon ka kabhi jhuk jaana

    maut ka apni ye saman hua jata hai

    hae kya mahshar-e-KHamosh jagaya tu ne

    dil ke aashob pe ehsan hua jata hai

    jitna dukh tha mere sine mein simaT aaya hai

    ek nirala sa ye mehman hua jata hai

    main shahid-e-rah-e-ulfat hun azal se 'sarmad'

    yahi maslak mera iman hua jata hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now