dard kā mere mudāvā vo kareñ yā na kareñ
maiñ huuñ mashkūr dam-e-naz.a jo pardā na kareñ
mai se labrez ināyat jo vo paimāna kareñ
vā.izā nosh use rind kareñ yā na kareñ
ishq-e-sādiq jo zarā apnā asar dikhlā de
be-hijāb aa.eñ nazar vo kabhī pardā na kareñ
fasl-e-gul aa.e bhī sayyād agar gulshan meñ
ham vo bulbul haiñ rihā.ī kī tamanna na kareñ
tere kūche meñ jo mil jaa.e jagah marqad kī
bāġh-e-firdaus kī ushshāq tamanna na kareñ
jalva-gar dil meñ hai tū jin ke kisī sūrat vo
ruḳh haram kā na kareñ azm-e-kalīsā na kareñ
tere kūche meñ mayassar hai jinheñ roz tavāf
ka.abe kī samt vo bhūle se bhī sajda na kareñ
us kā dīdār kisī tarah nahīñ mumkin hai
shakl-e-ā.īna jo ham dil ko musaffā na kareñ
yaar bālīñ pe hai Thahreñ malak-ul-maut zarā
ruuh ke qabz kā kuchh der irāda na kareñ
dam kā mehmān huuñ dam lab pe hai ai jān-e-jahāñ
aap ghar jaane kā is vaqt irāda na kareñ
marte dam naam tirā muñh se nikal jaa.e agar
phir nakīrain lahad meñ koī jhagḌā na kareñ
dair-o-ka.aba to haqīqat meñ haiñ us ke ghar meñ
bāhamī gabr-o-musalmāñ koī jhagḌā na kareñ
dard ka mere mudawa wo karen ya na karen
main hun mashkur dam-e-naza jo parda na karen
mai se labrez inayat jo wo paimana karen
waiza nosh use rind karen ya na karen
ishq-e-sadiq jo zara apna asar dikhla de
be-hijab aaen nazar wo kabhi parda na karen
fasl-e-gul aae bhi sayyaad agar gulshan mein
hum wo bulbul hain rihai ki tamanna na karen
tere kuche mein jo mil jae jagah marqad ki
bagh-e-firdaus ki ushshaq tamanna na karen
jalwa-gar dil mein hai tu jin ke kisi surat wo
ruKH haram ka na karen azm-e-kalisa na karen
tere kuche mein mayassar hai jinhen roz tawaf
kabe ki samt wo bhule se bhi sajda na karen
us ka didar kisi tarah nahin mumkin hai
shakl-e-aina jo hum dil ko musaffa na karen
yar baalin pe hai Thahren malak-ul-maut zara
ruh ke qabz ka kuchh der irada na karen
dam ka mehman hun dam lab pe hai ai jaan-e-jahan
aap ghar jaane ka is waqt irada na karen
marte dam nam tera munh se nikal jae agar
phir nakirain lahad mein koi jhagDa na karen
dair-o-kaba to haqiqat mein hain us ke ghar mein
bahami gabr-o-musalman koi jhagDa na karen
Source:
Naghma-e-Hazar (Pg. 65)
-
Author:
Wafa Lakhnavi
-
- Publisher: Matba Yusufi, Lucknow
- Year of Publication: 1911
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.