Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard ka samundar hai sirf par hone tak

Farah iqbal

dard ka samundar hai sirf par hone tak

Farah iqbal

MORE BYFarah iqbal

    dard samundar hai sirf paar hone tak

    ishq haqīqat ke āshkār hone tak

    roz-o-shab gardish meñ mahv-e-raqs rahte haiñ

    ḳhaak ke bagūle haiñ bas ġhubār hone tak

    ḳhvāhishoñ ḳhushbū meñ ḳhvāb ḳhvāb phirte the

    pālkī meñ tāroñ ham savār hone tak

    qurbatoñ ke jañgal meñ der kitnī lagtī hai

    pairahan mohabbat taar taar hone tak

    soch havelī meñ ik sukūt taarī thā

    muntazir nigāhoñ ke be-qarār hone tak

    ātish-e-ġham-e-dil meñ ḳhaak ho ga.e ham to

    rishta-e-mohabbat ke ustuvār hone tak

    zindagī ke lahje ko ek umr lagtī hai

    dhuup tamāzat se sāya-dār hone tak

    ajnabī musāfir the ham-safar rahe phir bhī

    ik gurez haa.il thā e'tibār hone tak

    pāniyoñ ke siine par aaj bhī safīne haiñ

    sar-phirī havāoñ ke sāzgār hone tak

    kitnī maujeñ Dūbeñ-gī sāhiloñ ke dāman meñ

    qurbatoñ koshish meñ rāz-dār hone tak

    thā kamāl-e-kūza-gar Dhāltā rahā mujh ko

    haañ 'farah' lage barsoñ shāh-kār hone tak

    dard ka samundar hai sirf par hone tak

    ishq ki haqiqat ke aashkar hone tak

    roz-o-shab ki gardish mein mahw-e-raqs rahte hain

    KHak ke bagule hain bas ghubar hone tak

    KHwahishon ki KHushbu mein KHwab KHwab phirte the

    palki mein taron ki hum sawar hone tak

    qurbaton ke jangal mein der kitni lagti hai

    pairahan mohabbat ka tar tar hone tak

    soch ki haweli mein ek sukut tari tha

    muntazir nigahon ke be-qarar hone tak

    aatish-e-gham-e-dil mein KHak ho gae hum to

    rishta-e-mohabbat ke ustuwar hone tak

    zindagi ke lahje ko ek umr lagti hai

    dhup ki tamazat se saya-dar hone tak

    ajnabi musafir the ham-safar rahe phir bhi

    ek gurez hail tha e'tibar hone tak

    paniyon ke sine par aaj bhi safine hain

    sar-phiri hawaon ke sazgar hone tak

    kitni maujen Duben-gi sahilon ke daman mein

    qurbaton ki koshish mein raaz-dar hone tak

    tha kamal-e-kuza-gar Dhaalta raha mujh ko

    han 'farah' lage barson shah-kar hone tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now