dard ke daimi rishton se lipaT jate hain
dard ke dÄ.imÄ« rishtoƱ se lipaT jaate haiƱ
aks rote haiƱ to shīshoƱ se lipaT jaate haiƱ
haa.e vo log jinheƱ ham ne bhulÄ rakkhÄ hai
yaad aate haiƱ to sÄƱsoƱ se lipaT jaate haiƱ
kis ke pairoƱ ke nishÄƱ haiƱ ki musÄfir bhÄ« ab
manzileƱ bhuul ke rastoƱ se lipaT jaate haiƱ
jab vo rotÄ hai to yak-laįø³ht mirÄ« pyaas ke hoƱT
us kÄ« ÄƱkhoƱ ke kinÄroƱ se lipaT jaate haiƱ
jab unheƱ niiƱd panÄheƱ nahīƱ detÄ« haiƱ 'asad'
įø³hvÄb phir jÄgtÄ« ÄƱkhoƱ se lipaT jaate haiƱ
dard ke daimi rishton se lipaT jate hain
aks rote hain to shishon se lipaT jate hain
hae wo log jinhen hum ne bhula rakkha hai
yaad aate hain to sanson se lipaT jate hain
kis ke pairon ke nishan hain ki musafir bhi ab
manzilen bhul ke raston se lipaT jate hain
jab wo rota hai to yak-laKHt meri pyas ke honT
us ki aankhon ke kinaron se lipaT jate hain
jab unhen nind panahen nahin deti hain 'asad'
KHwab phir jagti aankhon se lipaT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.