Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard ki daulat-e-nayab ko ruswa na karo

Akhtar Hoshiyarpuri

dard ki daulat-e-nayab ko ruswa na karo

Akhtar Hoshiyarpuri

MORE BYAkhtar Hoshiyarpuri

    dard daulat-e-nāyāb ko rusvā na karo

    vo nazar raaz hai us raaz charchā na karo

    vus.at-e-dasht meñ dīvāne bhaTak jaate haiñ

    dosto āhu-e-ram-ḳhurda pīchhā na karo

    tum muqaddar sitāra ho mire paas raho

    tum jabīn-e-shab-e-namnāk pe ubhrā na karo

    pas-e-dīvār bhī dīvār aalam hogā

    tum yūñhī rauzan-e-dīvār se jhāñkā na karo

    ghar palaT aane meñ āfiyat-e-jāñ hai yaaro

    jab havā tez chale raah meñ Thahrā na karo

    dil-o-dīda ko tanvīr-e-mohabbat baḳhsho

    dam-e-sub.h zamāne meñ ujālā na karo

    ye jahān-e-guzarāñ haath kise aayā hai

    pīchhe muḌ muḌ ke kisī shaḳhs ko dekhā na karo

    bhāgte lamhe ko kab rok sakā hai koī

    vo to ik saaya hai saa.e tamannā na karo

    sar salāmat nahīñ rahte haiñ zabāñ kaTtī hai

    pattharoñ ko kabhī bhūle se bhī sajda na karo

    pyaas bujhtī hai kahāñ tapte bayābānoñ

    mirī āñkhoñ mirī āñkho yūñhī barsā na karo

    ziist hai tez-qadam aage nikal jā.egī

    tum kisī moḌ pe rukne irāda na karo

    kuchh idhar saa.e haiñ jo baḌh ke lipaT jaate haiñ

    'aḳhtar' is raah se ho kar kabhī guzrā na karo

    dard ki daulat-e-nayab ko ruswa na karo

    wo nazar raaz hai us raaz ka charcha na karo

    wusat-e-dasht mein diwane bhaTak jate hain

    dosto aahu-e-ram-KHurda ka pichha na karo

    tum muqaddar ka sitara ho mere pas raho

    tum jabin-e-shab-e-namnak pe ubhra na karo

    pas-e-diwar bhi diwar ka aalam hoga

    tum yunhi rauzan-e-diwar se jhanka na karo

    ghar palaT aane mein aafiyat-e-jaan hai yaro

    jab hawa tez chale rah mein Thahra na karo

    ya dil-o-dida ko tanwir-e-mohabbat baKHsho

    ya dam-e-subh zamane mein ujala na karo

    ye jahan-e-guzaran hath kise aaya hai

    pichhe muD muD ke kisi shaKHs ko dekha na karo

    bhagte lamhe ko kab rok saka hai koi

    wo to ek saya hai sae ki tamanna na karo

    sar salamat nahin rahte hain zaban kaTti hai

    pattharon ko kabhi bhule se bhi sajda na karo

    pyas bujhti hai kahan tapte bayabanon ki

    meri aankhon meri aankho yunhi barsa na karo

    zist hai tez-qadam aage nikal jaegi

    tum kisi moD pe rukne ka irada na karo

    kuchh idhar sae hain jo baDh ke lipaT jate hain

    'aKHtar' is rah se ho kar kabhi guzra na karo

    Source:

    auraq salnama magazines (Pg. 495)

    • Author: Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
      • Edition: 1967
      • Publisher: Daftar Mahnama Auraq Lahore
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now