Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard ki jo koi dawa jaane

Riyaz Hasan Khan Khayal

dard ki jo koi dawa jaane

Riyaz Hasan Khan Khayal

MORE BYRiyaz Hasan Khan Khayal

    dard jo koī davā jaane

    vahī kuchh ishq maza jaane

    koī dil kisī ke kyā jaane

    ġhaib baat ko ḳhudā jaane

    ham to daanā usī ko kahte haiñ

    jo hasīnoñ ko bevafā jaane

    dil-e-gum-gashta jo pūchhā haal

    bole muñh pher kar ḳhudā jaane

    mai-kade meñ paḌe the kal zāhid

    kaun aaj un ko pārsā jaane

    husn-e-zan bas isī ko kahte haiñ

    ki har ik chiiz ko bhalā jaane

    āshiqī ke liye hai shart 'ḳhayāl'

    ki jafāoñ ko bhī vafā jaane

    dard ki jo koi dawa jaane

    wahi kuchh ishq ka maza jaane

    koi dil ki kisi ke kya jaane

    ghaib ki baat ko KHuda jaane

    hum to dana usi ko kahte hain

    jo hasinon ko bewafa jaane

    dil-e-gum-gashta ka jo puchha haal

    bole munh pher kar KHuda jaane

    mai-kade mein paDe the kal zahid

    kaun aaj un ko parsa jaane

    husn-e-zan bas isi ko kahte hain

    ki har ek chiz ko bhala jaane

    aashiqi ke liye hai shart 'KHayal'

    ki jafaon ko bhi wafa jaane

    Source:

    Deewan-e-Riyaz Hasan Khan Khayal Ma Muqadma (Pg. 147)

    • Author: Riyaz Hasan Khan Khayal
      • Publisher: Bazm-e-Sukhan, Sitamarhi
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now