Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard ko dard kaho dard ke qabil ho jao

Mushtaq Sadaf

dard ko dard kaho dard ke qabil ho jao

Mushtaq Sadaf

MORE BYMushtaq Sadaf

    dard ko dard kaho dard ke qābil ho jaao

    aisā bhī kyā hai ki ḳhud dil se ġhāfil ho jaao

    tum ko tūfān se laḌnā jo nahīñ hai manzūr

    phir to behtar hai ki kashtī nahīñ sāhil ho jaao

    imtihāñ ishq meñ honā hai to hogā vo zarūr

    aag ke khel meñ pahle se shāmil ho jaao

    is se pahle ki kisī aur maiñ ho jā.ūñ

    maiñ tumheñ zahr duuñ aur tum mire qātil ho jaao

    lau charāġhoñ baḌhāne se nahīñ kuchh hāsil

    nuur ban ke shab-e-zulmāt pe nāzil ho jaao

    saikḌoñ tajrabe be-kār kiyā karte ho

    ho mire dard meñ shāmil to mirā dil ho jaao

    shor barpā hai ki nikle ho talāsh-e-ġham meñ

    maḳhzan-e-ġham hai mirā dil yahīñ dāḳhil ho jaao

    ahmaqoñ se jo kabhī vāsta paḌ jaa.e 'sadaf'

    baat karne se kahīñ achchhā hai jāhil ho jaao

    dard ko dard kaho dard ke qabil ho jao

    aisa bhi kya hai ki KHud dil hi se ghafil ho jao

    tum ko tufan se laDna jo nahin hai manzur

    phir to behtar hai ki kashti nahin sahil ho jao

    imtihan ishq mein hona hai to hoga wo zarur

    aag ke khel mein pahle hi se shamil ho jao

    is se pahle ki kisi aur ka main ho jaun

    main tumhein zahr dun aur tum mere qatil ho jao

    lau charaghon ki baDhane se nahin kuchh hasil

    nur ban ke shab-e-zulmat pe nazil ho jao

    saikDon tajrabe be-kar kiya karte ho

    ho mere dard mein shamil to mera dil ho jao

    shor barpa hai ki nikle ho talash-e-gham mein

    maKHzan-e-gham hai mera dil yahin daKHil ho jao

    ahmaqon se jo kabhi wasta paD jae 'sadaf'

    baat karne se kahin achchha hai jahil ho jao

    Source:

    Badal Gai Koi Shai (Pg. 97)

    • Author: Dr. Mushtaque Sadaf
      • Edition: 2012
      • Publisher: Swaraj Prakashan, New Delhi
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now