Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard mein shiddat-e-ehsas nahin thi pahle

Shakeel Azmi

dard mein shiddat-e-ehsas nahin thi pahle

Shakeel Azmi

MORE BYShakeel Azmi

    dard meñ shiddat-e-ehsās nahīñ thī pahle

    zindagī raam ban-bās nahīñ thī pahle

    ham bhī sau jaate the ma.asūm farishtoñ tarah

    aur ye raat bhī hassās nahīñ thī pahle

    ham ne is baar tujhe jism se haT kar sochā

    shā.irī ruuh akkās nahīñ thī pahle

    terī furqat udāsī sabab hai ab ke

    terī qurbat bhī hameñ raas nahīñ thī pahle

    terī āñkhoñ ne kahīñ nahīñ rakhā ham ko

    itnī shiddat hameñ pyaas nahīñ thī pahle

    raah chalte hue ham muḌ ke nahīñ dekhte the

    rāste meñ tirī bū-bās nahīñ thī pahle

    dard mein shiddat-e-ehsas nahin thi pahle

    zindagi ram ka ban-bas nahin thi pahle

    hum bhi sau jate the masum farishton ki tarah

    aur ye raat bhi hassas nahin thi pahle

    hum ne is bar tujhe jism se haT kar socha

    shairi ruh ki akkas nahin thi pahle

    teri furqat hi udasi ka sabab hai ab ke

    teri qurbat bhi hamein ras nahin thi pahle

    teri aankhon ne kahin ka nahin rakha hum ko

    itni shiddat ki hamein pyas nahin thi pahle

    rah chalte hue hum muD ke nahin dekhte the

    raste mein teri bu-bas nahin thi pahle

    Source:

    Dil Parinda Hai (Pg. 44)

    • Author: Shakeel Azmi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2023
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now