dard ranj-o-alam rah gae
dard ranj-o-alam rah ga.e
dostoñ ke karam rah ga.e
baañT dī ham ne ḳhushiyāñ tamām
sirf dāman meñ ġham rah ga.e
kar gayā vaar mil kar gale
sādgī meñ hī ham rah ga.e
ab na chheḌo hameñ dosto
ashk āñkhoñ meñ kam rah ga.e
zindagī dostī aur vafā
bas bharam hī bharam rah ga.e
dāstāñ sun ke 'sājid' mirī
aap kyoñ chashm-e-nam rah ga.e
dard ranj-o-alam rah gae
doston ke karam rah gae
banT di hum ne KHushiyan tamam
sirf daman mein gham rah gae
kar gaya war mil kar gale
sadgi mein hi hum rah gae
ab na chheDo hamein dosto
ashk aankhon mein kam rah gae
zindagi dosti aur wafa
bas bharam hi bharam rah gae
dastan sun ke 'sajid' meri
aap kyon chashm-e-nam rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.