Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard sine mein uThe bhi to dabae rakhna

Ishaq Nashad

dard sine mein uThe bhi to dabae rakhna

Ishaq Nashad

MORE BYIshaq Nashad

    dard siine meñ uThe bhī to dabā.e rakhnā

    ġham-e-hālāt se har lamha nibhā.e rakhnā

    apne ehsās ko āñdhī se bachā.e rakhnā

    is añdhere meñ koī sham.a jalā.e rakhnā

    jaane kab kaun kahāñ tum se sahārā māñge

    dard dhuup meñ kuchh phuul khilā.e rakhnā

    rah-e-ulfat meñ ġham-e-dil shikāyat be-sūd

    farz hai chaak garebāñ chhupā.e rakhnā

    dil meñ ik dard uThā baat laboñ par aa.ī

    kitnā mushkil hai koī baat bhulā.e rakhnā

    ham guzar jā.eñge uḌte hue lamhoñ tarah

    raah meñ shauq se kāñToñ ko bichhā.e rakhnā

    DhūñD tārīk añdheroñ meñ ujāle 'nāshād'

    kab talak dard duniyā se banā.e rakhnā

    dard sine mein uThe bhi to dabae rakhna

    gham-e-haalat se har lamha nibhae rakhna

    apne ehsas ko aandhi se bachae rakhna

    is andhere mein koi shama jalae rakhna

    jaane kab kaun kahan tum se sahaara mange

    dard ki dhup mein kuchh phul khilae rakhna

    rah-e-ulfat mein gham-e-dil ki shikayat be-sud

    farz hai chaak gareban ka chhupae rakhna

    dil mein ek dard uTha baat labon par aai

    kitna mushkil hai koi baat bhulae rakhna

    hum guzar jaenge uDte hue lamhon ki tarah

    rah mein shauq se kanTon ko bichhae rakhna

    DhunD tarik andheron mein ujale 'nashad'

    kab talak dard ki duniya se banae rakhna

    Source:

    (Pg. 51)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now