Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard to maujud hai dil mein dawa ho ya na ho

Akbar Allahabadi

dard to maujud hai dil mein dawa ho ya na ho

Akbar Allahabadi

MORE BYAkbar Allahabadi

    dard to maujūd hai dil meñ davā ho na ho

    bandagī hālat se zāhir hai ḳhudā ho na ho

    jhūmtī hai shāḳh-e-gul khilte haiñ ġhunche dam-ba-dam

    bā-asar gulshan meñ tahrīk-e-sabā ho na ho

    vajd meñ laate haiñ mujh ko bulbuloñ ke zamzame

    aap ke nazdīk bā-ma.anī sadā ho na ho

    kar diyā hai zindagī ne bazm-e-hastī meñ sharīk

    us kuchh maqsūd koī mudda.ā ho na ho

    kyuuñ civil-surgeon aanā roktā hai ham-nashīñ

    is meñ hai ik baat honour shifā ho na ho

    maulvī sāhib na chhoḌeñge ḳhudā go baḳhsh de

    gher leñge police vaale sazā ho na ho

    membarī se aap par to vārnish ho jā.egī

    qaum hālat meñ kuchh is se jilā ho na ho

    mo'tariz kyuuñ ho agar samjhe tumheñ sayyād dil

    aaise gesū huuñ to shub.h daam ho na ho

    dard to maujud hai dil mein dawa ho ya na ho

    bandagi haalat se zahir hai KHuda ho ya na ho

    jhumti hai shaKH-e-gul khilte hain ghunche dam-ba-dam

    ba-asar gulshan mein tahrik-e-saba ho ya na ho

    wajd mein late hain mujh ko bulbulon ke zamzame

    aap ke nazdik ba-mani sada ho ya na ho

    kar diya hai zindagi ne bazm-e-hasti mein sharik

    us ka kuchh maqsud koi muddaa ho ya na ho

    kyun ciwil-surgeon ka aana rokta hai ham-nashin

    is mein hai ek baat honour ki shifa ho ya na ho

    maulwi sahib na chhoDenge KHuda go baKHsh de

    gher hi lenge police wale saza ho ya na ho

    membari se aap par to warnish ho jaegi

    qaum ki haalat mein kuchh is se jila ho ya na ho

    mo'tariz kyun ho agar samjhe tumhein sayyaad dil

    aaise gesu hun to shubh dam ka ho ya na ho

    Source:

    kulliyat-e-akbar allahabadi (Pg. 439)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now