Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dariya-dili ki sun ke main aaya tha aas mein

Syed Ilyas Fani

dariya-dili ki sun ke main aaya tha aas mein

Syed Ilyas Fani

MORE BYSyed Ilyas Fani

    dariyā-dilī sun ke maiñ aaya thā aas meñ

    do ghūñT bhī mile na samundar ke taas meñ

    pīr-e-muġhāñ naam na badnām ho kahīñ

    jitnī ho aaj Daal de saaqī gilās meñ

    izzat se hai vaqār zamāne meñ dosto

    izzat nahīñ to kuchh nahīñ basharī asaas meñ

    mushkil meñ hausloñ sahārā agar na ho

    aatā nahīñ shu.ūr dil-e-bad-havās meñ

    apnā.iyat ḳhulūs vafā rabt-e-bāhamī

    sab kuchh milegā tum ko ġharīboñ ke paas meñ

    'fānī' dabā na sozish-e-qalb-o-jigar ko yuuñ

    chingāriyāñ chhupātā hai koī kapās maiñ

    dariya-dili ki sun ke main aaya tha aas mein

    do ghunT bhi mile na samundar ke tas mein

    pir-e-mughan ka nam na badnam ho kahin

    jitni ho aaj Dal de saqi gilas mein

    izzat se hai waqar zamane mein dosto

    izzat nahin to kuchh nahin bashari asas mein

    mushkil mein hauslon ka sahaara agar na ho

    aata nahin shuur dil-e-bad-hawas mein

    apnaiyat KHulus wafa rabt-e-bahami

    sab kuchh milega tum ko gharibon ke pas mein

    'fani' daba na sozish-e-qalb-o-jigar ko yun

    chingariyan chhupata hai koi kapas main

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 284)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now