dariya-e-fikr-e-nau ki rawani mein gir gaya

Lucky farooqi Hasrat

dariya-e-fikr-e-nau ki rawani mein gir gaya

Lucky farooqi Hasrat

MORE BYLucky farooqi Hasrat

  dariyā-e-fikr-e-nau ravānī meñ gir gayā

  sūraj phisal ke barf ke paanī meñ gir gayā

  jis ne chhuā thā misra.a-e-avval meñ āsmān

  vo sher aa ke misra-e-sānī meñ gir gayā

  gangā meñ bahtī raakh hai is baat gavāh

  bargad peḌ TuuT ke paanī meñ gir gayā

  rahzan ne kuchh to luuT liyā raḳht-e-zindagī

  jo kuchh bachā thā naql-e-makānī meñ gir gayā

  na zalzala koī na koī aur sāneha

  aivān-e-rabt talḳh-bayānī meñ gir gayā

  jis aa.ine meñ dekh ke sajtī thiiñ titliyāñ

  vo aa.ina bhī bād-e-ḳhizānī meñ gir gayā

  dariya-e-fikr-e-nau ki rawani mein gir gaya

  suraj phisal ke barf ke pani mein gir gaya

  jis ne chhua tha misra-e-awwal mein aasman

  wo sher aa ke misra-e-sani mein gir gaya

  ganga mein bahti rakh hai is baat ki gawah

  bargad ka peD TuT ke pani mein gir gaya

  rahzan ne kuchh to luT liya raKHt-e-zindagi

  jo kuchh bacha tha naql-e-makani mein gir gaya

  na zalzala koi na koi aur saneha

  aiwan-e-rabt talKH-bayani mein gir gaya

  jis aaine mein dekh ke sajti thin titliyan

  wo aaina bhi baad-e-KHizani mein gir gaya

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY