dariya hain phir bhi milte nahin mujhse yar log

Manzar Saleem

dariya hain phir bhi milte nahin mujhse yar log

Manzar Saleem

MORE BYManzar Saleem

  dariyā haiñ phir bhī milte nahīñ mujh se yaar log

  jur.at kahāñ ki sahrā se hoñ ham-kanār log

  jaadū fazā thā ki havā meñ milā thā zahr

  patthar hue jahāñ the vahīñ be-shumār log

  ab saaya o samar tavaqqo kahāñ ruke

  sūkhe hue shajar haiñ sar-e-rahguzār log

  dahshat khulī fazā qayāmat se kam na thī

  girte hue makānoñ meñ aa baiThe yaar log

  ik dūsre haal nahīñ pūchhtā koī

  ik dūsre maut pe haiñ sharmsār log

  sūraj chaḌhā to pighlī bahut choTiyoñ barf

  āñdhī chalī to ukhḌe bahut sāya-dār log

  dariya hain phir bhi milte nahin mujh se yar log

  jurat kahan ki sahra se hon ham-kanar log

  jadu faza ka tha ki hawa mein mila tha zahr

  patthar hue jahan the wahin be-shumar log

  ab saya o samar ki tawaqqo kahan ruke

  sukhe hue shajar hain sar-e-rahguzar log

  dahshat khuli faza ki qayamat se kam na thi

  girte hue makanon mein aa baiThe yar log

  ek dusre ka haal nahin puchhta koi

  ek dusre ki maut pe hain sharmsar log

  suraj chaDha to pighli bahut choTiyon ki barf

  aandhi chali to ukhDe bahut saya-dar log

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque

  dariya hain phir bhi milte nahin mujhse yar log Nomaan Shauque

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY