dariya ki rawani wahi dahshat bhi wahi hai

Yasmeen Hameed

dariya ki rawani wahi dahshat bhi wahi hai

Yasmeen Hameed

MORE BYYasmeen Hameed

  dariyā ravānī vahī dahshat bhī vahī hai

  aur Dūbte lamhāt sūrat bhī vahī hai

  alfāz bhī likkhe haiñ vahī nok-e-qalam ne

  aurāq pe phailī huī rañgat bhī vahī hai

  kyuuñ us sarāpā na huā naqsh-ba-dīvār

  jab maiñ bhī vahī huuñ mirī hairat bhī vahī hai

  kyuuñ barf paḌtī hai kahīñ shahr-e-darūñ par

  jab muzhda-e-ḳhurshīd meñ hiddat bhī vahī hai

  kyuuñ DhūñDne nikle haiñ na.e ġham ḳhazīna

  jab dil bhī vahī dard daulat bhī vahī hai

  raste se mirī jañg bhī jaarī hai abhī tak

  aur paañv tale zaḳhm vahshat bhī vahī hai

  tā-umr nigāhoñ ke liye ek manzar

  saa.e tarah saa.e qīmat bhī vahī hai

  dariya ki rawani wahi dahshat bhi wahi hai

  aur Dubte lamhat ki surat bhi wahi hai

  alfaz bhi likkhe hain wahi nok-e-qalam ne

  auraq pe phaili hui rangat bhi wahi hai

  kyun us ka sarapa na hua naqsh-ba-diwar

  jab main bhi wahi hun meri hairat bhi wahi hai

  kyun barf si paDti hai kahin shahr-e-darun par

  jab muzhda-e-KHurshid mein hiddat bhi wahi hai

  kyun DhunDne nikle hain nae gham ka KHazina

  jab dil bhi wahi dard ki daulat bhi wahi hai

  raste se meri jang bhi jari hai abhi tak

  aur panw tale zaKHm ki wahshat bhi wahi hai

  ta-umr nigahon ke liye ek sa manzar

  sae ki tarah sae ki qimat bhi wahi hai

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY