darkar hai jaisa mujhe waisa nahin milta
darkār hai jaisā mujhe vaisā nahīñ miltā
mā'shūq mirī zaat ko saada nahīñ miltā
ab chāhe kisī samt bhī le jā.ūñ maiñ ḳhud ko
ik raat hī miltī hai saverā nahīñ miltā
martā hai ka.ī maut vo ik maut ke Dar se
bīmār ko jab koī masīhā nahīñ miltā
ik bhiiḌ ke bā'is abhī tak duur hai manzil
ik bhiiḌ ke bā'is mujhe rastā nahīñ miltā
rakh detā huuñ āñkheñ maiñ kisī taaq pe 'āzar'
jab mere kisī ḳhvāb ko ḳharcha nahīñ miltā
darkar hai jaisa mujhe waisa nahin milta
ma'shuq meri zat ko sada nahin milta
ab chahe kisi samt bhi le jaun main KHud ko
ek raat hi milti hai sawera nahin milta
marta hai kai maut wo ek maut ke Dar se
bimar ko jab koi masiha nahin milta
ek bhiD ke ba'is abhi tak dur hai manzil
ek bhiD ke ba'is mujhe rasta nahin milta
rakh deta hun aankhen main kisi taq pe 'azar'
jab mere kisi KHwab ko KHarcha nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.