Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

darkar tha qarar bulana paDa use

Ahmad Tariq

darkar tha qarar bulana paDa use

Ahmad Tariq

MORE BYAhmad Tariq

    darkār thā qarār bulānā paḌā use

    āvāz to lauT ke aanā paḌā use

    maiñ kaun huuñ kahāñ se huuñ aur kis pyaar huuñ

    bhūlā huā thā mujh ko batānā paḌā use

    jaate hue sabhī se milāyā thā us ne haath

    aur sab meñ maiñ bhī thā so milānā paḌā use

    merī sabhī duāoñ mehvar vahī to thā

    chāhte hue bhī bhulānā paḌā use

    'ahmad' use batātā rahā hijr maut hai

    maanā nahīñ to mar ke dikhānā paḌā use

    darkar tha qarar bulana paDa use

    aawaz di to lauT ke aana paDa use

    main kaun hun kahan se hun aur kis ka pyar hun

    bhula hua tha mujh ko batana paDa use

    jate hue sabhi se milaya tha us ne hath

    aur sab mein main bhi tha so milana paDa use

    meri sabhi duaon ka mehwar wahi to tha

    na chahte hue bhi bhulana paDa use

    'ahmad' use batata raha hijr maut hai

    mana nahin to mar ke dikhana paDa use

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now