aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

darun zat ka manzar zamane par nahin khola

Iqbal Tariq

darun zat ka manzar zamane par nahin khola

Iqbal Tariq

MORE BYIqbal Tariq

    darūn zaat manzar zamāne par nahīñ kholā

    basar ik raat karnī hai abhī bistar nahīñ kholā

    musāfir huuñ maiñ bhūkā huuñ sadā.eñ diiñ bahut lekin

    darīche khol kar dekhe kisī ne ghar nahīñ kholā

    maiñ tujh se māñgtā huuñ is liye maulā niDar ho kar

    ki jab māñgā mire a.amāl daftar nahīñ kholā

    yahāñ par aalam hai yahāñ aaseb baste haiñ

    muqaffal hai ka.ī barsoñ se dil dar nahīñ kholā

    tamāshā ban gayā āzād ho kar sab nazroñ meñ

    qafas kholā magar sayyād ne par nahīñ kholā

    pas-e-dīvār terī yaad meñ ro.e bahut lekin

    sar-e-bāzār ham ne yaar apnā sar nahīñ kholā

    darun zat ka manzar zamane par nahin khola

    basar ek raat karni hai abhi bistar nahin khola

    musafir hun main bhuka hun sadaen din bahut lekin

    dariche khol kar dekhe kisi ne ghar nahin khola

    main tujh se mangta hun is liye maula niDar ho kar

    ki jab manga mere aamal ka daftar nahin khola

    yahan par hu ka aalam hai yahan aaseb baste hain

    muqaffal hai kai barson se dil ka dar nahin khola

    tamasha ban gaya aazad ho kar sab ki nazron mein

    qafas khola magar sayyaad tu ne par nahin khola

    pas-e-diwar teri yaad mein roe bahut lekin

    sar-e-bazar hum ne yar apna sar nahin khola

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now