aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

darwaza band dekh ke mere makan ka

Adil Mansuri

darwaza band dekh ke mere makan ka

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    darvāza band dekh ke mere makān

    jhoñkā havā khiḌkī ke parde hilā gayā

    vo jān-e-nau-bahār jidhar se guzar gayā

    peḌoñ ne phuul pattoñ se rasta chhupā liyā

    us ke qarīb jaane anjām ye huā

    maiñ apne-āp se bhī bahut duur paḌā

    añgḌā.ī le rahī thī gulistāñ meñ jab bahār

    har phuul apne rang ātish meñ jal gayā

    kāñTe se TūTte haiñ mire añg añg meñ

    rag rag meñ chāñd jaltā huā zahr bhar gayā

    āñkhoñ ne us ko dekhā nahīñ is ke bāvajūd

    dil us yaad se kabhī ġhāfil nahīñ rahā

    darvāza khaTkhaTā ke sitāre chale ga.e

    ḳhvāboñ shaal oḌh ke maiñ ūñghtā rahā

    shab chāñdnī aañch meñ tap kar nikhar ga.ī

    sūraj jaltī aag meñ din ḳhaak ho gayā

    saḌkeñ tamām dhuup se angāra ho ga.iiñ

    andhī havā.eñ chaltī haiñ in par barahna-pā

    vo aa.e thoḌī der ruke aur chale ga.e

    'ādil' maiñ sar jhukā.e hue chup khaḌā rahā

    darwaza band dekh ke mere makan ka

    jhonka hawa ka khiDki ke parde hila gaya

    wo jaan-e-nau-bahaar jidhar se guzar gaya

    peDon ne phul patton se rasta chhupa liya

    us ke qarib jaane ka anjam ye hua

    main apne-ap se bhi bahut dur ja paDa

    angDai le rahi thi gulistan mein jab bahaar

    har phul apne rang ki aatish mein jal gaya

    kanTe se TuTte hain mere ang ang mein

    rag rag mein chand jalta hua zahr bhar gaya

    aankhon ne us ko dekha nahin is ke bawajud

    dil us ki yaad se kabhi ghafil nahin raha

    darwaza khaTkhaTa ke sitare chale gae

    KHwabon ki shaal oDh ke main unghta raha

    shab chandni ki aanch mein tap kar nikhar gai

    suraj ki jalti aag mein din KHak ho gaya

    saDken tamam dhup se angara ho gain

    andhi hawaen chalti hain in par barahna-pa

    wo aae thoDi der ruke aur chale gae

    'adil' main sar jhukae hue chup khaDa raha

    Source:

    Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 208)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now