Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

das aql das maqule das mudrikat tison

Insha Allah Khan Insha

das aql das maqule das mudrikat tison

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    das aql das maqūle das mudrikāt tīsoñ

    tere zikr meñ haiñ ai pāk-zāt tīsoñ

    no āsmāñ ḳhur-o-mah sātoñ tabaq zamīñ ke

    rūh-o-havās-e-ḳhamsa aur shash-jahāt tīsoñ

    baara burūj chaudah ma.asūm chaar unsur

    zāhir kareñ haiñ terī lākhoñ sifāt tīsoñ

    sī-pārhā-e-dil ko rakhiyo muhāfizat se

    ai merī jaañ haiñ terī hifz-e-hayāt tīsoñ

    māh-e-guzishta haal 'inshā' kahūñ so kyūñkar

    mar mar basar kiye haiñ din aur raat tīsoñ

    das aql das maqule das mudrikat tison

    tere hi zikr mein hain ai pak-zat tison

    no aasman KHur-o-mah saton tabaq zamin ke

    ruh-o-hawas-e-KHamsa aur shash-jahat tison

    bara buruj chaudah masum chaar unsur

    zahir karen hain teri lakhon sifat tison

    si-parha-e-dil ko rakhiyo muhafizat se

    ai meri jaan hain teri hifz-e-hayat tison

    mah-e-guzishta ka haal 'insha' kahun so kyunkar

    mar mar basar kiye hain din aur raat tison

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 98)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now