Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dashna-e-dard har ek sans mein Thahra hoga

Musavvir Sabzwari

dashna-e-dard har ek sans mein Thahra hoga

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    dashna-e-dard har ik saañs meñ Thahrā hogā

    dil samundar hai to phir ghaav bhī gahrā hogā

    terī qurbat meñ mirī saañs ghuTī jaatī hai

    maiñ ne sochā thā tirā jism bhī sahrā hogā

    mauj-e-ḳhūñ sar se guzar jā.egī jis raat mire

    rañg-e-pairāhan-e-shab aur bhī gahrā hogā

    chal paḌe haiñ abhī jis par ye safīrān-e-bahār

    kisī bajtī huī zanjīr lahrā hogā

    ḳhushk pattoñ pe chale jaise koī shām-e-ḳhizāñ

    ab tirī yaad yuuñ jism pe pahrā hogā

    kyā ḳhabar thī ye girāñ-goshī baa.is hogī

    shahr shahr sadā par mirī bahrā hogā

    hijr aag meñ baḌhtī hai 'musavvir' tab-o-tāb

    zahr-e-tanhā.ī se rañg aur sunahrā hogā

    dashna-e-dard har ek sans mein Thahra hoga

    dil samundar hai to phir ghaw bhi gahra hoga

    teri qurbat mein meri sans ghuTi jati hai

    main ne socha tha tera jism bhi sahra hoga

    mauj-e-KHun sar se guzar jaegi jis raat mere

    rang-e-pairahan-e-shab aur bhi gahra hoga

    chal paDe hain abhi jis par ye safiran-e-bahaar

    kisi bajti hui zanjir ka lahra hoga

    KHushk patton pe chale jaise koi sham-e-KHizan

    ab teri yaad ka yun jism pe pahra hoga

    kya KHabar thi ye giran-goshi ka bais hogi

    shahr ka shahr sada par meri bahra hoga

    hijr ki aag mein baDhti hai 'musawwir' tab-o-tab

    zahr-e-tanhai se rang aur sunahra hoga

    Source:

    Manghii dhire chal (Pg. 53)

    • Author: Musavvir Sabzwari
      • Edition: 1971
      • Publisher: Nazish Book Center
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now