Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht-e-be-nawai mein faKHr-e-kaj-kulahi kya

Zakia Ghazal

dasht-e-be-nawai mein faKHr-e-kaj-kulahi kya

Zakia Ghazal

MORE BYZakia Ghazal

    dasht-e-be-navā.ī meñ faḳhr-e-kaj-kulāhī kyā

    maut fasīloñ par zo'm-e-bādshāhī kyā

    dard salīboñ par laash ho chuke naale

    be-zamīr hākim ko 'adl gavāhī kyā

    jo asīr-e-vahshat bhī raat ke musāfir the

    aise shab-gazīdoñ par niiñd ke sipāhī kyā

    'adl ke varaq phāḌe maktab-e-siyāsat ne

    phir gunāh kyā terā merī be-gunāhī kyā

    ehtisāb-e-dil jab har hisāb chuktā hai

    terī kam-nigāhī kyā merī ḳhush-nigāhī kyā

    ham umīd-e-fardā ke rahravān-e-manzil haiñ

    sub.h ke ujāloñ ko raat siyāhī kyā

    be-kafan umīdoñ sar-burīda lāshoñ ko

    dafn kar ke lauT aa.e rāstī ke raahī kyā

    ai 'ġhazal' tirī āñkheñ ġham-zada haiñ rātoñ meñ

    ratjagoñ ke mausam meñ ḳhvāb-e-sub.h-gāhī kyā

    dasht-e-be-nawai mein faKHr-e-kaj-kulahi kya

    maut ki fasilon par zo'm-e-baadshahi kya

    dard ki salibon par lash ho chuke nale

    be-zamir hakim ko 'adl ki gawahi kya

    jo asir-e-wahshat bhi raat ke musafir the

    aise shab-gazidon par nind ke sipahi kya

    'adl ke waraq phaDe maktab-e-siyasat ne

    phir gunah kya tera meri be-gunahi kya

    ehtisab-e-dil ka jab har hisab chukta hai

    teri kam-nigahi kya meri KHush-nigahi kya

    hum umid-e-farda ke rahrawan-e-manzil hain

    subh ke ujalon ko raat ki siyahi kya

    be-kafan umidon ki sar-burida lashon ko

    dafn kar ke lauT aae rasti ke rahi kya

    ai 'ghazal' teri aankhen gham-zada hain raaton mein

    ratjagon ke mausam mein KHwab-e-subh-gahi kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now