Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht-e-junun mein jalwa-e-KHuban ki justuju

Shabnam Kamali

dasht-e-junun mein jalwa-e-KHuban ki justuju

Shabnam Kamali

MORE BYShabnam Kamali

    dasht-e-junūñ meñ jalva-e-ḳhūbāñ justujū

    kitnī ajiib hai dil-e-nādāñ justujū

    guzrī thī zulf-e-yār se ho kar nasīm-e-shauq

    ab tak hai us bū-e-pareshāñ justujū

    hairat-zada huuñ dekh ke ye inqalāb-e-nau

    hai shāḳh-e-gul ko aaj gulistāñ justujū

    liije fanā dars patañgoñ ḳhaak se

    āsāñ nahīñ hai sham-e-farozāñ justujū

    'shabnam' āñkheñ rātoñ ko rotī haiñ is liye

    hotī hai us ko mehr-e-daraḳhshāñ justujū

    dasht-e-junun mein jalwa-e-KHuban ki justuju

    kitni ajib hai dil-e-nadan ki justuju

    guzri thi zulf-e-yar se ho kar nasim-e-shauq

    ab tak hai us ki bu-e-pareshan ki justuju

    hairat-zada hun dekh ke ye inqalab-e-nau

    hai shaKH-e-gul ko aaj gulistan ki justuju

    lije fana ka dars patangon ki KHak se

    aasan nahin hai sham-e-farozan ki justuju

    'shabnam' ki aankhen raaton ko roti hain is liye

    hoti hai us ko mehr-e-daraKHshan ki justuju

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now