dasht-e-nadida se phir rabt baDhane lage hum
dasht-e-nādīda se phir rabt baḌhāne lage ham
dil hī dil meñ sahī kuchh ḳhaak uḌāne lage ham
pahr do pahr ko vo 'ishq thā ik 'umr kā 'ishq
aa.ina dekhā to kuchh itne purāne lage ham
kahīñ zanjīr kā ye halqa izāfī hī na ho
dekh is ḳhvāb se aage nazar aane lage ham
mas.ala bāġh-e-mohabbat kā vo pahlā sā nahīñ
gul khilāne kī jo thī shart uThāne lage ham
bahte bahte unhīñ āñkhoñ meñ kahīñ Duub ga.e
chaliye achchhā hai kisī taur Thikāne lage ham
baat tasvīr ne kah dī ki jo matlab kī na thī
yak-ba-yak manzar-e-jāñ chhoḌ ke jaane lage ham
dasht-e-nadida se phir rabt baDhane lage hum
dil hi dil mein sahi kuchh KHak uDane lage hum
pahr do pahr ko wo 'ishq tha ek 'umr ka 'ishq
aaina dekha to kuchh itne purane lage hum
kahin zanjir ka ye halqa izafi hi na ho
dekh is KHwab se aage nazar aane lage hum
masala bagh-e-mohabbat ka wo pahla sa nahin
gul khilane ki jo thi shart uThane lage hum
bahte bahte unhin aankhon mein kahin Dub gae
chaliye achchha hai kisi taur Thikane lage hum
baat taswir ne kah di ki jo matlab ki na thi
yak-ba-yak manzar-e-jaan chhoD ke jaane lage hum
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 27)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.