Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht-e-ummid mein KHwabon ka safar karna tha

Ahmad Shanas

dasht-e-ummid mein KHwabon ka safar karna tha

Ahmad Shanas

MORE BYAhmad Shanas

    dasht-e-ummīd meñ ḳhvāboñ safar karnā thā

    ki ik lamha-e-nāpaid basar karnā thā

    ham ne kyuuñ aapsī azdād ke nukte DhūñDe?

    ham ne to ḳhud ko baham shīr-o-shakar karnā thā

    naqsh bantā nahīñ sañg-e-samā.at pe koī

    kund alfāz ko phir tīr-o-tabar karnā thā

    sā.at-e-dard ki be-chehra o be-nām rahī

    qatra-e-ashk ki mahfūz guhar karnā thā

    tishnagī māhī-e-be-āb likh hoñToñ par

    varna yuuñ bosa-e-sāġhar se hazar karnā thā

    mujh pe aayat na koī lafz utrā 'ahmad'

    merī mushkil ki bayāñ mujh ko safar karnā thā

    dasht-e-ummid mein KHwabon ka safar karna tha

    tu ki ek lamha-e-napaid basar karna tha

    hum ne kyun aapsi azdad ke nukte DhunDe?

    hum ne to KHud ko baham shir-o-shakar karna tha

    naqsh banta hi nahin sang-e-samaat pe koi

    kund alfaz ko phir tir-o-tabar karna tha

    saat-e-dard ki be-chehra o be-nam rahi

    qatra-e-ashk ki mahfuz guhar karna tha

    tishnagi mahi-e-be-ab si likh honTon par

    warna yun bosa-e-saghar se hazar karna tha

    mujh pe aayat na koi lafz hi utra 'ahmad'

    meri mushkil ki bayan mujh ko safar karna tha

    Source:

    Pas-e-Ashkar (Pg. 48)

    • Author: Ahmed Shanas
      • Edition: 2010
      • Publisher: M. R. Publications
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now