Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht hum tujhse talluq ko nibhate kaise

Bushra Bakhtiyar Khan

dasht hum tujhse talluq ko nibhate kaise

Bushra Bakhtiyar Khan

MORE BYBushra Bakhtiyar Khan

    dasht ham tujh se ta.alluq ko nibhāte kaise

    ham bhalā un galī chhoḌ ke jaate kaise

    un āñkhoñ meñ koī aur basā thā shāyad

    ham se vo nazreñ milāte to milāte kaise

    un ke chehre pe kisī aur haq thā shāyad

    ham to qadmoñ se tavajjoh ko haTāte kaise

    merī jaan vo maan se haq māñgtā thā

    paglā yaar thā vo jaan bachāte kaise

    us ne pūchhā na thā kaun haiñ kyuuñ aa.e haiñ

    ham bhī ḳhuddār the phir haal sunāte kaise

    'bushrā' ham apne kiye par bhī na pachhtā paa.e

    dil ko be-faiz zamāne meñ lagāte kaise

    dasht hum tujh se talluq ko nibhate kaise

    hum bhala un ki gali chhoD ke jate kaise

    un ki aankhon mein koi aur basa tha shayad

    hum se wo nazren milate to milate kaise

    un ke chehre pe kisi aur ka haq tha shayad

    hum to qadmon se tawajjoh ko haTate kaise

    meri hi jaan ka wo man se haq mangta tha

    pagla yar tha wo jaan bachate kaise

    us ne puchha hi na tha kaun hain kyun aae hain

    hum bhi KHuddar the phir haal sunate kaise

    'bushra' hum apne kiye par bhi na pachhta pae

    dil ko be-faiz zamane mein lagate kaise

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now