aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht mein gulshan mein har ja ki hai teri justuju

Jafar Abbas Safvi

dasht mein gulshan mein har ja ki hai teri justuju

Jafar Abbas Safvi

MORE BYJafar Abbas Safvi

    dasht meñ gulshan meñ har hai terī justujū

    ab kahāñ le rahā hai ai fareb-e-rañg-o-bū

    aap itnā to batā deñ kab karam hogā huzūr

    kab muravvat meñ badal jā.egī ye nafrat ḳhū

    sādgī-e-dil pe apnī rashk aatā hai mujhe

    ik vafā nā-āshnā se hai vafā aarzū

    ishq manzil meñ lākhoñ kārvāñ gum ho ga.e

    rahrav-e-rāh-e-mohabbat kyā kareñge justujū

    rah ga.e haiñ ab to le de kar dil-e-barbād meñ

    hasrat-e-dīdār ġham aur terī aarzū

    de rahī hai apne dāman havā bād-e-sahar

    terī zulf-e-ambarīñ hai ik jahān-e-rañg-o-bū

    jab kabhī saaqī ne 'ja.afar' apnī nazreñ pher liiñ

    mai-kade meñ liyā hai maiñ ne armāñ lahū

    dasht mein gulshan mein har ja ki hai teri justuju

    ab kahan le ja raha hai ai fareb-e-rang-o-bu

    aap itna to bata den kab karam hoga huzur

    kab murawwat mein badal jaegi ye nafrat ki KHu

    sadgi-e-dil pe apni rashk aata hai mujhe

    ek wafa na-ashna se hai wafa ki aarzu

    ishq ki manzil mein lakhon karwan gum ho gae

    rahraw-e-rah-e-mohabbat kya karenge justuju

    rah gae hain ab to le de kar dil-e-barbaad mein

    hasrat-e-didar ka gham aur teri aarzu

    de rahi hai apne daman ki hawa baad-e-sahar

    teri zulf-e-ambarin hai ek jahan-e-rang-o-bu

    jab kabhi saqi ne 'jafar' apni nazren pher lin

    mai-kade mein pi liya hai main ne arman ka lahu

    Source:

    SAAZ-O-NAVA (Pg. 126)

      • Publisher: Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now