Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht mein phul ugane ka hunar jaanta hun

Kazim Rizvi

dasht mein phul ugane ka hunar jaanta hun

Kazim Rizvi

MORE BYKazim Rizvi

    dasht meñ phuul ugāne hunar jāntā huuñ

    yā'nī maiñ she'r sunāne hunar jāntā huuñ

    ik tirī baat banā.e nahīñ bantī mujh se

    varna har baat banāne hunar jāntā huuñ

    tere kūche meñ jo ā.ūñgā Thahar jā.ūñgā

    kab yahāñ aan ke jaane hunar jāntā huuñ

    haañ ḳhabar-dār ki ai nāzish-e-ḳhūbān-e-chaman

    maiñ hasīnoñ ko lubhāne hunar jāntā huuñ

    aañkh se aañkh laḌā dene Dhab aatā hai

    hoñT se hoñT milāne hunar jāntā huuñ

    mere lafzoñ meñ vo garmī hai ki jis se 'kāzim'

    aag paanī meñ lagāne hunar jāntā huuñ

    dasht mein phul ugane ka hunar jaanta hun

    ya'ni main she'r sunane ka hunar jaanta hun

    ek teri baat banae nahin banti mujh se

    warna har baat banane ka hunar jaanta hun

    tere kuche mein jo aaunga Thahar jaunga

    kab yahan aan ke jaane ka hunar jaanta hun

    han KHabar-dar ki ai nazish-e-KHuban-e-chaman

    main hasinon ko lubhane ka hunar jaanta hun

    aankh se aankh laDa dene ka Dhab aata hai

    honT se honT milane ka hunar jaanta hun

    mere lafzon mein wo garmi hai ki jis se 'kazim'

    aag pani mein lagane ka hunar jaanta hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now